Wednesday 15 May 2013

PAIMAN-E-WAFA AUR HAI SAMAN-E-JAFA AUR

Paiman e wafa aur hai saman e jafa aur
Us fitna e doraan ne kaha aur kiya aur

Taiwar alag andaz alag un ki adaa aur
Wo aur hawa mein hain zamanay ki hawa aur

Tarkeeb koi un ko mananay ki ho kya aur
Main jitna manata hun wo hotay hain khafa aur

Pi lain jo kabhi shaikh to pi pi ke pukarain
Ay saqi e maikhana ! zara aur zara aur

Mehroom hua deen se dunya ki talab mein
Na fehm ne kuch aur he socha tha hua aur

Phoolon ki wahan dhoop yahan saya e wehshat
Gulshan ki fiza aur hai sehra ki fiza aur

Insaf milay ga sar e maidaan e qayamat
Un ka na khuda aur na mera he khuda aur

Daikhaen to zara ham usay ay fitna e doraan
Ham jaisa wafadar koi dhoond ke laa aur

Chorain na mahabbat ko NASEER ahl e mahabbat
Ye shoq khata hai to khata aur khata aur

No comments:

Post a Comment