Thursday 23 May 2013

Ghazal: Ilahi ! Mutmaeen hon gy na ab

Ilahi ! Mutmaeen hon gy na ab ghulshan mei hum kab tak
Fiza e rang o boo ky ye karishmy dam badam kab tak

Tumheen keh do , hamein rehna hai mehroom e karam kab tak
Bharosa kia hai, iss dunya mei tum kab tak ho hum kab tak

Hamain chakraen gy daer o haram ke pech o kham kab tak
Yunhi phirty rahain gy in guzargahon mei ham kab tak

Mahabbat mutmaeen hai sabar ke mazboot halkay mein
Magar ab kia kahaen jaari rahay rasm e sitam kab tak

Ma'aal e kaar qismat hai giraftaar e bala hona
Koi suljhaye ga akhir teri zulfon ke kham kab tak

Hamara tazkira bhe safha e hasti pe likhna hai
Magar dekhain ke chalta hai morrikh ka qalam kab tak

Hawas ko chor de shan e qanaa'at khud mei peda kar
Gham e sood o ziyan kyu aur fikr e besh o kam kab tak

Kiya hai waada anay ka magar ab ye khabar kiss ko
Wo kab aayen hamaray ghar wo farmaayen karam kab tak

Mery pemana fikr o nazar ka zikar ho saaki !
Rahay gi mekaday mein  daastan e jaam e jam kab tak

Kooi taskeen e dil ke shakal ab nikli na jab nikli
NASEER aahir mahabbat mein preshan hon gy ham kab tak

(Poetry PIR NASEER UD DIN SHAH Golra Sharif)

http://www.tajdaregolra.com
https://www.facebook.com/tajdaregolra

No comments:

Post a Comment