Friday 17 May 2013

MERI ZINDAGI TO FIRAAQ HAI



Meri zindagi to firaaq hai, wo azal se dil main makeen sahi
Wo nigaah-e-shauq se door hain, rag-e-jaan se laakh qareen sahi



Hamain jaan deni hai aik din, wo kisi tarah wo kaheen sahi
Hamain aap khainchiye daar par, jo nahin koi to hameen sahi



Sar-e-toor ho, sar-e-hashr ho, hamain intezaar qabool hai
Wo kabhi milen,wo kahin milen,wo kabhi sahi, wo kaheen sahi



Na ho un pe kuch mera bass nahin, ke ye aashqi hai hawas nahin
Main unhi ka tha, main unhi ka hun, wo mere nahin, to nahin sahi



Mujhe bhaithne ki jagah milay, meri aarzoo ka bharam rahay
Teri anjuman men agar nahin, teri anjuman ke qareen sahi



Tera dar to hum ko na mil saka, teri rahguzar ki zameen sahi
Hamain sajda karne se kaam hai, jo wahan nahin to yaheen sahi



Meri zindagi ka naseeb hai, nahin door mujh se qareeb hai
Mujhe uska gham to naseeb hai, wo agar nahin to naheen sahi



Jo ho faislaa woh sunaaiye, use hashr par na uthaaiye
Jo karainge aap sitam wahan, wo abhi sahi, wo yaheen sahi



Unhen dekhne ki jo lou lagi, to ‘Naseer’ dekh hi lainge hum
Wo hazaar aankh se door hon, wo hazaar pardah nasheen sahi


( Pir Naseer Ud Din Naseer Shah )

No comments:

Post a Comment