Friday 17 May 2013

KABHI UNKA NAAM LENA

Kabhi unka naam lena kabhi unki baat karna
Mera zaoq unki chahat mera shoq unpe marna

Wo kisi ki jheel ankhen wo meri junoon mizaaji
Kabhi doobna ubhar kar kabhi doob kar ubharna

Tery mann-chalon ka jag mein ye ajab chalan raha hai
Na kisi ki baat sun'na na kisi se baat karna

Shab e gham na pooch kesy tery mubtila pe guzri
Kabhi aah bhar ke girna kabhi gir ke aah bharna

Wo teri gali ke tewar wo nazar nazar pe pehray
Wo mera kisi bahany tujhay dekh kr guzarna

Kahan mery dil ki hasrat kahan meri na-rasaye
Kahan tery gesuoon ka tery dosh per bikharna

Tujhy dekh kr najany abhi kyu hain log zinda
Hay ajib badmizaaji tujhy dekh kr na marna

Tery saamny se aakr koi aaena hata dy
Ke barha raha hai uljhan teri zulf ka sanwarna

Mera ashiyan jala dy nahi iska khof lekin
Na qafas mein qaid kr ke mery baal o par qutarna

Jalay lakh chahy dunya ho zamana lakh dushman
Jo teri panah mein ho ussay kia kisi se darna

Wo karain gy na-khudai to lagay ki paar kashti
Hy NASEER warna mushkil tera paar yun utarna

(Pir Naseer Ud Din Naseer Shah)

No comments:

Post a Comment