Thursday 23 May 2013

Ghazal: Hamain jab ke apna




Hamain jab ke apna bana liya to hai rabt kis liyay ham se kam
Ye hijaab kia ye gurez kyu  rahain saamny to wo kam se kam

Gham e aarzo gham e justuju gham e imtehan gham e jism o jaan
Meri zindagi ki bisaat kia meri zindagi to hai gham se kam

Ye maqam e naaz o niyaz hai mera dil hee mehram e raaz hai
Wo nawazty hain ba maslihat hamen iltifaat o karam se kam

Tery aastan ka faqeer hoon magar aap apni nazeer hoon
Meri shan e faqar jahan mei na milay gi shaukat e jam se kam

Ye kaha gya ye suna gya ye likha gya ye parha gya
Na jafa hui kabhi tum se kam na wafa hui kabhi ham se kam

Wohi nisbataen wohi rifatain wohi ronaqain wohi azmatain
Mery dil mei jab se wo hain maqeen naheen ye maqam bhe haram se kam

Tery abruoon ki haseen kaman nazar arahi hai falak nishaan
Na karishma qos e quzah se kam na kashish hilal ke ham se kam

Na sata mujhy na rula mujy naheen aur taab e jafa mujy
Ke meri matta-e-shakaeb hai teri kaenaat e sitam se kam

Ye karam hai kam sar e anjuman ke pilaye us ne ma-e-sukhan
Mujhy paas apny bula liya rahi baat meri to kam se kam

Nahe jis ke paas tajalliyan ussay jaachti hai nazar kahan
Tery noor ka na zuhoor ho to wujood bhi hai addam se kam

Kabhi in-e-kaas-e-jamal hai kabhi aen-e-she ki misaal hai
Naheen mery dil ka muamla kisi aeeny ke bharam se kam

Mah-o-aftaab-o-nujoom sab , hain zia-fagan nahe iss mei shakk
Hai musallam inki chamak damak magar Unky naksh-e-qadam se kam

Yehi aarzo, yehi mudd-aa , kabhi waqt ho to sunaen zara
Meri daastan e hayat e gham jo likhi gaye hai qalam se kam

Ye NASEER daftar e raaz hai , ye ghubaar e rah e niyaaz hai
Karain is pe ahl e jahan yakeen , naheen iska qaol kasam se kam

(Poetry PIR NASEER UD DIN SHAH Golra Sharif)

http://www.tajdaregolra.com
https://www.facebook.com/tajdaregolra

No comments:

Post a Comment