Monday 28 October 2013

Peman e Shab - Tery Pind o Naseehat

POETRY : PIR NASEER UD DIN NASEER
FROM "PEMAN E SHAB"


Peman e Shab - Silsila Na Tooty

POETRY : PIR NASEER UD DIN NASEER
FROM "PEMAN E SHAB"


Peman e Shab - Nahi Parwaz Ki Taqat

POETRY : PIR NASEER UD DIN NASEER
FROM "PEMAN E SHAB"


Peman e Shab - Na Wo Ehtemam e Maye

POETRY : PIR NASEER UD DIN NASEER
FROM "PEMAN E SHAB"


Peman e Shab - Na Aye Tujh Ko Nazar

POETRY : PIR NASEER UD DIN NASEER
FROM "PEMAN E SHAB"


Peman e Shab - Mutmaen Kab Hayat Hoti Hai

POETRY : PIR NASEER UD DIN NASEER
FROM "PEMAN E SHAB"


Peman e Shab - Kuch Aesa Mahal To Nahi Hai

POETRY : PIR NASEER UD DIN NASEER
FROM "PEMAN E SHAB"


Peman e Shab - Hamen Jab Ke Apna Bana Liya

POETRY : PIR NASEER UD DIN NASEER
FROM "PEMAN E SHAB"

http://www.tajdaregolra.com
https://www.facebook.com/tajdaregolra

Peman e Shab - Din Suhanay Talash Karty Ho

POETRY : PIR NASEER UD DIN NASEER
FROM "PEMAN E SHAB"

http://www.tajdaregolra.com
https://www.facebook.com/tajdaregolra

Peman e Shab - Deen Se Door

POETRY : PIR NASEER UD DIN NASEER
FROM "PEMAN E SHAB"

http://www.tajdaregolra.com
https://www.facebook.com/tajdaregolra

Peman e Shab - Chor Do Gy Tum Hamen

POETRY : PIR NASEER UD DIN NASEER
FROM "PEMAN E SHAB"

http://www.tajdaregolra.com
https://www.facebook.com/tajdaregolra

Peman e Shab - Behasain Na Gawah Chahta Hu


POETRY : PIR NASEER UD DIN NASEER
FROM "PEMAN E SHAB"

http://www.tajdaregolra.com
https://www.facebook.com/tajdaregolra

Peman e Shab - Atay Nahi Keh Dety Hain


POETRY : PIR NASEER UD DIN NASEER
FROM "PEMAN E SHAB"

http://www.tajdaregolra.com
https://www.facebook.com/tajdaregolra

Peman e Shab - Agaen Chal Ke Hawaen


POETRY : PIR NASEER UD DIN NASEER
FROM "PEMAN E SHAB"

http://www.tajdaregolra.com
https://www.facebook.com/tajdaregolra

Friday 18 October 2013

Kia Ishq Ne Samjha Hai

Kia Ishq Ne Samjha Hai Kia Husn Ne Jana Hai
Hum Khaak Nasheeno Ki Thokar Mei Zamana Hai
Roodad e Mohabbat Ka Adna Sa Fasana Hai
Simty To Dil e Ashiq Phely To Zamana Hai


Sunday 7 July 2013

MY EYES ARE WINE STORES | PIR NASEER UD DIN NASEER |




Says Pir Syed Naseer Ud Din Naseer (R.A)
"My Eyes Are Wine Stores"

Ankhen saqi ki salamat mery dushman tarsain
Dohray me-khanay hain niyyat meri bharnay ke liay

"Kal Naseer ik jaam ka milna hamain dushwar tha
Aj ankhon mein liay bethy hain ik me-khana hum
Jin ke irfan e tajalli se rahay begana hum
Unse keh dena ke ab khud hain tajalli khana hum"

Raja Pervez Ashraf was also present in the mehfil of Pir Naseer Ud Din Naseer (R.A) in Gujjar Khan breath taking accent of Pir sahib Golra Sharif

"My Eyes Are Decendent From Prophet Muhammad (SAW)"

"Kali zulf te akh mastaani ay
Makhmoor akheen hin madh bharyan"


Sunday 26 May 2013

Jami: Ab Dil Se Unki Yaad Ke Saaey Na Jaaen Gy




















Ab dil se unki yaad ke saaey na jaen gy
Mujh se kisi tarah wo bhualaey na jaen gy

Tab tak addam ki raah na dekhoon ga mein kabhi
Jab tak mery qareeb wo laaey na jaaen gy

Ay kaash zindagi ka safar ab ho muhtasir
Sadmay ab aur ham se uthaey na jaaen gy

Jami unhen tu yaad na kr aur bhool ja
Yaad agaey to phir wo bhulaey na jaaen gy

(Pir Syed Ghulam Nizam Ud Din Jami Gillani)

http://www.tajdaregolra.com
https://www.facebook.com/tajdaregolra

Thursday 23 May 2013

Naat: Har ik sift ka (Poetry Pir Naseer Ud Din Naseer)

Har ik sift ka teri zaat se hisaar kia
Khuda ne tujh ko mashiyyat ka shahkaar kia

Tery karam ne faqeeron ki jholiyan bhar deen
Teri nazar ne gadaaon ko shehryaar kia

Tery wujood ka ijaaz hai ke insaan ne
Sifaat o zaat e ilaahi ka aetbaar kia

Takki hai rah Khalil o Kalim o Esa ne
Khud ne arsh pe khud tera intizar kia

Burraq aya to saff bandh li farishton ne
Rakab choom ke Jibreel ne sawar kia

Uthi tajjali e kubra mei jab namood ki moaj
Zuhoor mein teri soorat ko ikhtiyaar kia

Saja ke khatam e nubuwwat ka tery sar pe taaj
Khuda ne tujh ko rusoolon ka tajdar kia

Wo kaj kalahon ke chakkar mei parr nahe sakta
Tawaf jis ne tery dar ka aik baar kia

Tujhi ne qasr e amarat ko kr dia masmaar
Tujhi ne khil-at-e-shahi ko taar taar kia

Teri nighah e karam ne usay tassali di
Wo ankh jis ko zamany ne ashkbaar kia

Tery tafail hay mehshar mei sar buland NASEER
Tera karam ke issy ummati shumaar kia

(Poetry PIR NASEER UD DIN NASEER Shah Golra Sharif)

Ghazal: Hamain jab ke apna




Hamain jab ke apna bana liya to hai rabt kis liyay ham se kam
Ye hijaab kia ye gurez kyu  rahain saamny to wo kam se kam

Gham e aarzo gham e justuju gham e imtehan gham e jism o jaan
Meri zindagi ki bisaat kia meri zindagi to hai gham se kam

Ye maqam e naaz o niyaz hai mera dil hee mehram e raaz hai
Wo nawazty hain ba maslihat hamen iltifaat o karam se kam

Tery aastan ka faqeer hoon magar aap apni nazeer hoon
Meri shan e faqar jahan mei na milay gi shaukat e jam se kam

Ye kaha gya ye suna gya ye likha gya ye parha gya
Na jafa hui kabhi tum se kam na wafa hui kabhi ham se kam

Wohi nisbataen wohi rifatain wohi ronaqain wohi azmatain
Mery dil mei jab se wo hain maqeen naheen ye maqam bhe haram se kam

Tery abruoon ki haseen kaman nazar arahi hai falak nishaan
Na karishma qos e quzah se kam na kashish hilal ke ham se kam

Na sata mujhy na rula mujy naheen aur taab e jafa mujy
Ke meri matta-e-shakaeb hai teri kaenaat e sitam se kam

Ye karam hai kam sar e anjuman ke pilaye us ne ma-e-sukhan
Mujhy paas apny bula liya rahi baat meri to kam se kam

Nahe jis ke paas tajalliyan ussay jaachti hai nazar kahan
Tery noor ka na zuhoor ho to wujood bhi hai addam se kam

Kabhi in-e-kaas-e-jamal hai kabhi aen-e-she ki misaal hai
Naheen mery dil ka muamla kisi aeeny ke bharam se kam

Mah-o-aftaab-o-nujoom sab , hain zia-fagan nahe iss mei shakk
Hai musallam inki chamak damak magar Unky naksh-e-qadam se kam

Yehi aarzo, yehi mudd-aa , kabhi waqt ho to sunaen zara
Meri daastan e hayat e gham jo likhi gaye hai qalam se kam

Ye NASEER daftar e raaz hai , ye ghubaar e rah e niyaaz hai
Karain is pe ahl e jahan yakeen , naheen iska qaol kasam se kam

(Poetry PIR NASEER UD DIN SHAH Golra Sharif)

http://www.tajdaregolra.com
https://www.facebook.com/tajdaregolra

Ghazal: Ilahi ! Mutmaeen hon gy na ab

Ilahi ! Mutmaeen hon gy na ab ghulshan mei hum kab tak
Fiza e rang o boo ky ye karishmy dam badam kab tak

Tumheen keh do , hamein rehna hai mehroom e karam kab tak
Bharosa kia hai, iss dunya mei tum kab tak ho hum kab tak

Hamain chakraen gy daer o haram ke pech o kham kab tak
Yunhi phirty rahain gy in guzargahon mei ham kab tak

Mahabbat mutmaeen hai sabar ke mazboot halkay mein
Magar ab kia kahaen jaari rahay rasm e sitam kab tak

Ma'aal e kaar qismat hai giraftaar e bala hona
Koi suljhaye ga akhir teri zulfon ke kham kab tak

Hamara tazkira bhe safha e hasti pe likhna hai
Magar dekhain ke chalta hai morrikh ka qalam kab tak

Hawas ko chor de shan e qanaa'at khud mei peda kar
Gham e sood o ziyan kyu aur fikr e besh o kam kab tak

Kiya hai waada anay ka magar ab ye khabar kiss ko
Wo kab aayen hamaray ghar wo farmaayen karam kab tak

Mery pemana fikr o nazar ka zikar ho saaki !
Rahay gi mekaday mein  daastan e jaam e jam kab tak

Kooi taskeen e dil ke shakal ab nikli na jab nikli
NASEER aahir mahabbat mein preshan hon gy ham kab tak

(Poetry PIR NASEER UD DIN SHAH Golra Sharif)

http://www.tajdaregolra.com
https://www.facebook.com/tajdaregolra

NAAT PIR NASEER UD DIN NASEER (R.A)


Kon ho masnad nasheen khaak e nadeena chor kar
Khuld dekhay kon ,koo-e-shah-e-bat-ha chor kar

Dil ki basti aur armaanon ki dunya chor kar
Haaye kyu lotay thy ham shehr e madina chor kar

Thi na chahat dil mein Zahra ke dularon ki agar
Kyu utarty thy Nabi mimber se khutba chor kar

Ay Musalmaan ! Yehi khukam o Mustafa
Fikar e uqba kr hamesha fikr e dunya chor kar

Poochny phir kon aye ga NASEER un ke siwa
Jab lahad mei tujh ko sab lotain gy tanha chor kar

Friday 17 May 2013

KABHI UNKA NAAM LENA

Kabhi unka naam lena kabhi unki baat karna
Mera zaoq unki chahat mera shoq unpe marna

Wo kisi ki jheel ankhen wo meri junoon mizaaji
Kabhi doobna ubhar kar kabhi doob kar ubharna

Tery mann-chalon ka jag mein ye ajab chalan raha hai
Na kisi ki baat sun'na na kisi se baat karna

Shab e gham na pooch kesy tery mubtila pe guzri
Kabhi aah bhar ke girna kabhi gir ke aah bharna

Wo teri gali ke tewar wo nazar nazar pe pehray
Wo mera kisi bahany tujhay dekh kr guzarna

Kahan mery dil ki hasrat kahan meri na-rasaye
Kahan tery gesuoon ka tery dosh per bikharna

Tujhy dekh kr najany abhi kyu hain log zinda
Hay ajib badmizaaji tujhy dekh kr na marna

Tery saamny se aakr koi aaena hata dy
Ke barha raha hai uljhan teri zulf ka sanwarna

Mera ashiyan jala dy nahi iska khof lekin
Na qafas mein qaid kr ke mery baal o par qutarna

Jalay lakh chahy dunya ho zamana lakh dushman
Jo teri panah mein ho ussay kia kisi se darna

Wo karain gy na-khudai to lagay ki paar kashti
Hy NASEER warna mushkil tera paar yun utarna

(Pir Naseer Ud Din Naseer Shah)

MERI ZINDAGI TO FIRAAQ HAI



Meri zindagi to firaaq hai, wo azal se dil main makeen sahi
Wo nigaah-e-shauq se door hain, rag-e-jaan se laakh qareen sahi



Hamain jaan deni hai aik din, wo kisi tarah wo kaheen sahi
Hamain aap khainchiye daar par, jo nahin koi to hameen sahi



Sar-e-toor ho, sar-e-hashr ho, hamain intezaar qabool hai
Wo kabhi milen,wo kahin milen,wo kabhi sahi, wo kaheen sahi



Na ho un pe kuch mera bass nahin, ke ye aashqi hai hawas nahin
Main unhi ka tha, main unhi ka hun, wo mere nahin, to nahin sahi



Mujhe bhaithne ki jagah milay, meri aarzoo ka bharam rahay
Teri anjuman men agar nahin, teri anjuman ke qareen sahi



Tera dar to hum ko na mil saka, teri rahguzar ki zameen sahi
Hamain sajda karne se kaam hai, jo wahan nahin to yaheen sahi



Meri zindagi ka naseeb hai, nahin door mujh se qareeb hai
Mujhe uska gham to naseeb hai, wo agar nahin to naheen sahi



Jo ho faislaa woh sunaaiye, use hashr par na uthaaiye
Jo karainge aap sitam wahan, wo abhi sahi, wo yaheen sahi



Unhen dekhne ki jo lou lagi, to ‘Naseer’ dekh hi lainge hum
Wo hazaar aankh se door hon, wo hazaar pardah nasheen sahi


( Pir Naseer Ud Din Naseer Shah )

Wednesday 15 May 2013

TAZMEEN BA KALAM E HAZRAT ALA BY PIR NASEER UD DIN NASEER (R.A)

Yeh voh sach hai ke jisse aik jahan maan gya
Dar pe aaya jo gadaa ban ke voh sultaan gya
uske andaz e nawazish pe mein qurban gya
nimatein baant-ta jis samt voh zishan gya
saath hi munshi e rahmat ka kalamdaan gya

This is a truth which the whole world accepted:
Every pauper who came to your door, left as a king.
His manner of giving is to die for!
Wherever, bestowing mercy, that splendid one went
The scribe of Divine Providence went with him!


Tujh se jo phair ke munh jaanib e quran gya
Surkh roo ho ke na duniya se voh insaan gya
Kitne gustaakh bane, kitno ka imaan gya
Le khabar jald ke auron ki taraf dhiyaan gya
Mere mawla, mere aaqa tere qurbaan gya

Whosoever went towards the Qur'an leaving you aside
Never left this world in a happy state!
How many became insolent, how many lost their faith!
Save me quickly for my attention is wandering to others!
My master, my lord may I be sacrificed for you!


Mahv e nazzaara, sar e gumbad e hazra hi rahi
Door se sajdahguzaar e sar e waala hi rahi
Ru ba ru paake bhi mahroom e tamasha hi rahi
Aah voh aankh ke naakaam e tammana hi rahi
Haaye voh dil jo tere dar se pur armaan gya

Lost in the vision, in front of the Green Dome it remained
From afar in prostration to the Exalted Presence it remained
Despite seeing the dome face to face it remained bereft of the spectacle!
Ah! That eye which remained unfulfilled in its desire
Ah! That heart which left your door in a peaceful state!

PAIMAN-E-WAFA AUR HAI SAMAN-E-JAFA AUR

Paiman e wafa aur hai saman e jafa aur
Us fitna e doraan ne kaha aur kiya aur

Taiwar alag andaz alag un ki adaa aur
Wo aur hawa mein hain zamanay ki hawa aur

Tarkeeb koi un ko mananay ki ho kya aur
Main jitna manata hun wo hotay hain khafa aur

Pi lain jo kabhi shaikh to pi pi ke pukarain
Ay saqi e maikhana ! zara aur zara aur

Mehroom hua deen se dunya ki talab mein
Na fehm ne kuch aur he socha tha hua aur

Phoolon ki wahan dhoop yahan saya e wehshat
Gulshan ki fiza aur hai sehra ki fiza aur

Insaf milay ga sar e maidaan e qayamat
Un ka na khuda aur na mera he khuda aur

Daikhaen to zara ham usay ay fitna e doraan
Ham jaisa wafadar koi dhoond ke laa aur

Chorain na mahabbat ko NASEER ahl e mahabbat
Ye shoq khata hai to khata aur khata aur

BAT EK SUNTY TO 100 MUJ KO SUNATAY JATAY

Bat ek sunty to 100 muj ko sunatay jatay

Rooth jaany se to behtar tha ke aaty jaaty

Kar dia qatl to mayyat to uthaty jaty

Meri matti to thikay wo lagaty jatay

Na sahi lutf to bedaad-e-tabassum he sahi

Or deewany ko deewana banaty jatay

Waada e wasl bhe ek harf e tassali nikla

Mera dil rakhny ko haan keh gaye jatay jatay

Jan qurban karu us rukh-e-zeba pe NASEER

Ek jhalak mujh ko nazar aye to atay jatay